Ficool

Chapter 6 - Chapter 7 – Khamosh Mohabbat

College shuru ho chuka tha.

Ania roz college jaati, logon se milti, muskurati bhi thi...

Lekin uski muskurahat ke peeche kitna dard chhupa tha, ye koi nahi jaanta tha.

Uske dil mein har waqt sirf ek hi naam rehta tha...

MJ.

Woh har roz usse yaad karti.

Kabhi uski baatein yaad aati, kabhi uska care karna, aur kabhi uska yun bina wajah muskura dena.

Ania ke liye MJ sirf ek dost nahi raha tha.

Woh uski duaon ka hissa ban chuka tha.

Ek din Ania ne apni dost Riya se apne dil ki har baat share ki.

Riya uski 12th ki dost thi aur Ania ki zindagi ke baare mein kaafi kuch jaanti thi.

Usne Ania ko bahut samjhaya.

Lekin Ania ka dil sirf ek hi baat keh raha tha...

"Bas ek baar MJ se baat ho jaaye."

Aakhir ek din Ania ne Riya ki Instagram ID se MJ ko message kiya.

Woh Riya bankar usse baat karne lagi.

Lekin shayad...

MJ pehle hi samajh chuka tha.

Usne us raat kuch nahi kaha.

Lekin agle din uska message aaya.

MJ: "Tum Riya nahi ho..."

"Kya tum Ania ho?"

Ye padhte hi Ania ka dil zor se dhadakne laga.

Usne kuch der tak koi reply nahi diya.

Phir dheere se likha...

Ania: "Haan... main hi hoon."

Uske baad MJ ne Ania se gusse mein baat karni shuru kar di.

Uski baatein pehle jaisi bilkul nahi thi.

Na woh pyaar tha...

Na woh apnapan...

Na hi woh care.

Ania bas uski har baat chup-chaap sunti rahi.

Uska dil phir se toot gaya.

Usse samajh hi nahi aa raha tha...

Jo insaan kabhi uski itni fikr karta tha...

Aaj wahi itna badal kaise gaya?

Ania baar-baar sochti—

"Aakhir meri galti kya thi?"

"Maine aisa kya kiya tha, jo woh mujhse itna door ho gaya?"

Uske paas in sawaalon ka koi jawab nahi tha.

Kabhi-kabhi MJ ki kuch baaton se Ania ko lagta tha...

Ki shayad woh bhi usse pyaar karta hai.

Lekin phir uska badla hua bartav Ania ko uljha deta.

Woh samajh hi nahi paati thi...

Ki MJ ke dil mein aakhir chal kya raha hai.

Na woh poori tarah paas aa raha tha...

Aur na hi poori tarah door ja raha tha.

Ania har roz Allah se dua karti.

Usne pehli baar kisi insaan ko itni shiddat se duaon mein maanga tha.

Uske dil mein sirf ek hi sawaal rehta—

"Kya usse kabhi mujhse mohabbat nahi hui?"

"Kya usne kabhi mere ehsaas ko samjha hi nahi?"

Ye sawaal uske dil mein har roz uthte...

Aur har roz bina jawab ke reh jaate.

Waqt beetta gaya.

Ania ne dheere-dheere apne dard ke saath jeena seekhna shuru kar diya.

Usne faisla kiya ki ab woh apni zindagi sirf apne Ammi-Baba ke liye jeeyegi.

Mohabbat se uska bharosa uth chuka tha.

Uska ek hi maqsad tha...

Apne maa-baap ka sapna poora karna.

Lekin...

Kya waqai Ania ki zindagi mein mohabbat ka safar yahin khatam ho gaya tha?

Ya...

Kismat ne uske liye abhi kuch aur likh rakha tha?

To Be Continued...

More Chapters