Ficool

Chapter 8 - Chapter 9 – Ek Nayi Shuruaat

College ki padhai dheere-dheere poori hone lagi.

Ania ne apni zindagi mein bahut kuch dekha tha.

Apno ka bharosa tootna...

Mohabbat mein dhoka...

Adhure sapne...

Aur khud se har roz ek nayi ladai.

Ab usne faisla kar liya tha ki woh apni zindagi mein sirf ek hi cheez par dhyan degi...

Apne Ammi-Baba ki khushi.

Pyaar se uska ab koi lena-dena nahi tha.

Usse lagta tha ki mohabbat sirf dard deti hai.

Kuch mahino baad Ania ki padhai poori ho gayi.

Usne alag-alag jagah job ke liye apply karna shuru kar diya.

Har roz dua karti...

Har roz intezaar karti.

Aur phir...

Ek din uski mehnat rang layi.

Ania ko ek chhoti si job mil gayi.

Ye koi bahut badi naukri nahi thi...

Lekin uske liye ye kisi sapne se kam bhi nahi thi.

Jab ye khabar ghar walon ko mili, to sab bahut khush hue.

Mama aur Baba ki aankhon mein fakhr saaf dikh raha tha.

Mama: "Dekha... mehnat kabhi bekaar nahi jaati."

Baba: "Allah ka shukar hai. Hamari beti ab apne pairon par khadi ho gayi."

Sabke chehre par khushi thi.

Lekin...

Ania ke chehre ki muskurahat ab bhi adhuri thi.

Woh khush to thi...

Lekin dil ke kisi kone mein ek ajeeb si khamoshi thi.

Usne apni purani yaadon ko peeche chhodne ki bahut koshish ki.

Ab woh sirf kaam karti...

Ghar aati...

Aur apne Ammi-Baba ke saath waqt guzarti.

Dheere-dheere do saal beet gaye.

Ek din ghar mein Ania ki shaadi ki baat chali.

Mama aur Baba chahte the ki ab unki beti apni nayi zindagi shuru kare.

Ania ne koi sawaal nahi kiya.

Na hi kisi baat ka virodh kiya.

Usne sirf itna socha—

"Agar meri khushi se zyada mere Ammi-Baba ki khushi zaroori hai... to main unke faisle ko qubool karti hoon."

Usne shaadi ke liye haan keh diya.

Usse nahi pata tha...

Ki ye faisla uski zindagi ka sabse bada mod banne wala hai.

Kuch hi dino baad...

Ek rishta Ania ke liye aaya.

Us ladke ka naam tha...

Aayan.

Ek aisa naam...

Jisse Ania abhi tak bilkul anjaan thi.

Lekin kismat...

Uska naam pehle hi Ania ki kahani mein likh chuki thi.

To Be Continued...

More Chapters