Ficool

Chapter 7 - Slow-Burn Friendship Begins

Scene: Call khatam hone ke baad

Call end hoti hai.

Zoya phone table par rakh deti hai aur ghar ka kaam karne lagti hai.

Background mein halka music chal raha hota hai.

Wo jhadu–pochha aur bartan karte hue kaam kar rahi hoti hai.

Kaam karte karte usko Ayaan ki baat yaad aati hai.

Zoya (thodi irritate, khud se bolti):

"Yaar… maine clearly bol diya friend ki tarah baat karo. Phir bhi usko samajh kyun nahi aata."

Phir thodi der chup ho jaati hai.

Thoda soft tone mein khud se bolti:

"Shayad usko time lagega… itni jaldi sab change thodi hota hai."

---

Dusri side – Ayaan

Ayaan apne room mein bed par baitha hota hai.

Wo phone uthata hai, Zoya ka chat open karta hai…

Kuch seconds tak screen ko dekhta rehta hai… phir chat band kar deta hai.

Thoda sa sigh karta hai aur khud se bolta hai:

"Control kar Ayaan… usne friend bola hai."

Phir halka sa smile karta hai:

"Pehle friend banna padega."

Phone side par rakhte hue kehta hai:

"Kal se normal baat karunga… no flirting. Bas friendship."

---

Next Morning Scene

Subah ka time hota hai.

Zoya ka phone table par pada hota hai.

Phone "ting" karta hai.

Message – Ayaan:

Ayaan: "Good morning… friend 🙂"

Zoya message padhti hai.

Wo thoda aankh ghumati hai aur apne mind mein sochti hai:

Zoya (thinking):

"Seriously? Maine bola tha mujhe friend ki tarah treat karo… par mujhe 'friend' mat bolo."

Phir thoda ruk kar khud ko calm karti hai.

Zoya (thinking):

"Theek hai… at least he is trying."

Zoya jaldi se reply type karti hai:

Zoya: "Ok."

---

Dusri side – Ayaan

Ayaan message dekhta hai.

Aur turant panic mode 😂

Ayaan (thinking):

"What the hell… kya gussa ho gayi? Maine 'friend' bol diya isliye?"

Wo phone ko ghoorta rehta hai.

Udhar Zoya apna message dobara padhti hai.

Usko lagta hai reply thoda rude lag raha hai.

Wo "Ok" wala message delete kar deti hai.

Phir naya message type karti hai:

Zoya: "Good morning to you."

Ayaan ka phone phir "ting" karta hai.

Wo message padhta hai… aur thoda relax ho jata hai.

Ayaan (thinking):

"Okay… situation under control."

Uske face par halka sa smile aa jata hai.

---

Video Call Scene

Ayaan: "Video call kare?"

Zoya: "Kyuu?"

Ayaan: "Bas… bored ho raha hoon."

Zoya: "Main kaam kar rahi hoon abhi 😭"

Ayaan: "Tum kaam karti raho. Phone kisi kone mein rakh dena… main bas dekh lunga. Mujhe koi kaam bhi nahi hai."

Zoya: "Okay."

Video call start hota hai.

Zoya phone ko table ke ek kone mein rakh deti hai.

Background mein halka music chal raha hota hai.

Wo jhadu / pochha / bartan kar rahi hoti hai.

Ayaan screen par chup-chaap dekh raha hota hai.

Thodi der baad…

Ayaan: "Tum roz itna kaam karti ho?"

Zoya: "Haan… ghar mein karna padta hai."

Ayaan thoda tease karte hue bolta hai:

Ayaan: "Future husband lucky hoga… hardworking wife mil rahi hai."

Zoya turant uski taraf dekhti hai.

Ayaan thoda panic mode mein 😂

Ayaan jaldi se:

"Arre arre… main apne baare mein nahi bol raha!

Matlab… future mein koi bhi ho sakta hai.

Kya pata tumhe main pasand bhi na ho.

Main bas bol raha tha… jo bhi tumse shaadi karega lucky hoga."

Zoya thodi smile control karti hai.

Zoya: "Tum bahut zyada bolte ho."

Ayaan awkward hoke hasti deta hai.

Ayaan: "Sorry… habit hai."

Zoya phir se kaam karne lagti hai.

Lekin is baar uske face par halka sa smile hota hai.

More Chapters