MOHABBAT JO RAB SE MILI
(Ek roohani safar)
"Kya mohabbat sirf insaan se hoti hai , ya mohabbat ka asal manzil rab tak le jaata hai ?
Yeh kahani hai uzma ki — ek aam si lrki Jo apni bechaini, apni tanhai aur apne jazbaat ke saath ek aise safar pe nikalti hai jahan usse sirf mohabbat hi nahi, balke apna rab bhi milta hai .
Yeh sirf ek Prem kahani nahi, balki ek roohani
Safar hai.... Jo dil se sajde tak pahunchata hai."
CHAPTER 1 ( Main Kaun Hoon )
Mera nam uzma hai . main ek chote se seher ki bilkul aam si lrki hoon. Na zayada khubsurat, na hi bhott khaas.Logon ki nazar mein ek normal lrki thi,
Lekin mere dil ke andar hmesha ek Khali pan rehta hai. Jo mai khud bhi nahi samajh paati.
Bachpan ke sapne mere chote the–
Apne ghar ko hmesha khush rkhna, doston ke saath hasi mazak krna, kabhi kabhi diary ke panne bharna aur apne jazbaat likhna. sab kuch normal tha lekin dil ke kisi kone mein hmesha lgta tha ki zindagi sirf itni nahi hai... Kuch aur bhi hai Jo mai khoj Rahi hoon.
Kabhi doston ke mohabbat mein sukoon dhoondhti thi, kabhi rishton ki gharmahat mein.
Par har jagah ek Kami si mehsoos hoti dil bechain rehta jaise kisi anjaane sawal ka jawab dhoondh rha ho.
Raaton ko aksar mai chatt pe jaakr aasman dekhti thi, taare chamak rahe hote, chaand Roshan hota,
Aur main chupke se apni diary kholti aur dil ke sawal likh deti:
"Yeh sab itna khubsurat kisne banaya?
Aur mera dil itna bechain kyun hai?"
Us waqt mujhe bilkul andaza nahi tha....
Ki in sawalon ka jawab meri poori zindagi badal dega .