Ficool

Chapter 1 - Mere jeewan kii kahani

Aap sabhi ko mera namaskar. Mein ek kahani lekhak huin aur aaj mein apni jeewan kii kahani sunane jaa raha huin.

Aasha karti huin aap sabhi iss kahani ka aanand lenge.

Mere jeewan kii suruaat huyi mere bade bhai kii maut ke baad, jab mein paida hua tab mere bade bhai jinka naam Arvind tha unki maut ho gayi. Maa ko ek baat kii khushi hui to dusri baat ka gam. Ghar mein ek taraf khushi kii leher thi to dusri aur gam ka sannata, mein apne Ghar walo ko achha manta huin kyunki unne gam ke upar meri khushi chuni aur mera palan poshan kiya.

Dheere dheere samay gujarta gaya aur mein bada hone laga. Obvious baat hai bada hii hounga chhota thodi. Phir ek din aaya kii mein apne pero par chalne laga khoob .aati karti udham karta kahi kisi ko pareshan karta kahi kisi ko. Mere parivar humesha ek middle class family se belong karta hai. Jaisa kii aap jaante hai humare desh ko krishi pradhan desh kaha jata hai aur isse ek samman ke taur par dekha jata hai Ab aap soch rahe honge kii mein kisaan aur krishi kii baat kyun kar raha huin kyunki mein khud ek krishi sampann parivar se huin aur iss samman ka ek hissa mere parivar mein bhi aata hai kyunki mera parivar bhi ek krishi sampann parivar hai. Aur mein ye kheti baat isliye laya huin kyunki mere jeewan ek mod iss kheti kii bajah se aaya. Mein saal bhar ka hii hua tha kii mere maa papa gaon se khet par shift ho gaye. Aur mera palan poshan kheto mein hii hua. Mein aap sabhi ko batana bhul gaya meri ek badi behen hai. O mere saath khela karti thi par jaise hii wo badi hoti gayi wo mere saath kam khelne lagi aur phir mera khelna koodna mere paltu jaanwaro jaisa kutta ya billi ke saath hone laga. Ab paltu sunkar aapke man mein khayal aaya hoga kii aese hii khel ke liye paale gaye honge lekin unhe kheto kii surakhsa ke liye pala gaya tha aur mein unke saath rehkar unse ghul mil gaya tha unhi ke saath khelta masti karta. Ek baar kii baat hai ,maa mujhe paalne mein litakar kisi kaam ke liye chali gayi aur mujhe ek aurat ke pass chhod gayi jo mere khet par kaam karne aayi thi achanak mein bahut tej rone laga uss aurat puri koshish kii mujhe chup karane kii lekin nahi kara payi. Aur aapko ye jaankar aashcharya hoga kii mein kyun ro raha tha, asal mein me isliye ro raha tha kyunki khet mein kisi aur ke jaanwar aa gaye the. Jab uss aurat ne janwaro ko dekha to unhe khet bahar nikalne chali gayi aur usne laut kar aake dekha to mein chup chap lete huye khel raha tha. Uss din maa ko pata chala kii mein koi sadharad ladka nahi huin.

Kuchh samay baad mujhe gaon mein shcool bheja gaya aur mein padhne jana laga par aksar mein padhta kam tha aur khelta jyada tha aur maa papa kaam mein laga liya karte the. Kuchh dino ke baad meri jindagi ek bahut bada change aaya. Aur sab kuchh badal gaya. Dhanybaad .

Aage kii kahani jaanne ke liye aayiye kal hum iss kahani kiii aage suruat karenge. Bina kisi pareshani aur sankoch ke aayiye aur meri iss sachhi kahani ka anand lijiye .

Thnak you all of you

See you tommorow

More Chapters