Ficool

Chapter 1 - Ek Bhutiya Ghar Ki kahani

Baat suru hoti saal 2020 se . Ek Ghar mein panch log rahte the . Maa baap or 3 bacche.

Sab theek chal re raha tha tab uske papa ko kuch din se Ajeeb sa lag raha tha aaisa ki jaise khud ka aatmhatya kar de lekin us ghar mein bahut puja hota tha . April ka month tha ramnavami ka din tha . Sab aacha chal he Raha tha puja main uske papa bhaithe he the ki unke upper bhoot aa gaya ko bolne lage ki .

" Mera kapda nikalo kal Friday hai humko namaz padhne Jana hai "

Ye sun kar ghar wale sab der gye or bole ki kisi ko bulao jo ye sab theek karta ho...

Ye sun kar uske papa bakri katne wala talwar se aapna gala katne ja rahe the .

Uski badi beti Rio wo jaldi ke aapne nani ke Ghar pr phone lagai . Uske Nani Ghar Se uske mama mausi aur bhaiya aaye or saath mein ye sab karne wala ko v laye .

Jab wo log aaye ye sab dekhe to wo log bataye ki yee sab aapka Ghar wala he kiya hai aap ko marne ke liye . Itna kuch ho gya ramnavami ke din .

FIR uske mama aur mausi bole ki bag pack karo or chalo humhare saath chalo . Wahan pe acche se to rahoge tumlog.

Waha v aaisa he hota wo log bahut jagah gye ki kaise v thik ho gye lekin nahi theek hota .....

Lagbhag 8 mahine baad wo log Ghar aaye or phir se wahi sab hone laga to wo log plan kiye ki Kanpur karauli dhaam jaye parantu waha v kuch nahi hua balti 7 to 8 lakh rupya waste ho gaya . Saal 2021 main uski Badi Beti Rio ka school mein dance tha aur use din 26 January celebrate kiya ja raha tha.

Uske papa usko School Lene Gaye or gaadi chala he rahe the ki uske papa ke upper aa gaya or uski beti dar gyi thi bahut or fir wo gaadi se khud gyi .

Ghar jaane ke baad uske Papa ne uski mummy ka Gala daba Diya.

Or fir wo log bahut kuch kiye sab kuch thik karne ko .

Phir v aaj saal 2026 main v sab kuch waisa he ho raha lekin wo log ek chiz humesha karte wo hai bhagwan pr bharosa uske Ghar pr rooj puja hota or rooj Bhagwan ke liye 30 min nikal kar pura family bhagwan ka dhyan karta .

Or bhagwan ke daya se aavi thoda kuch thik hua hai....

More Chapters