AJ Ayera thodi jaldi college aa gayi thi woh campus mein Chal rahi Thi jab uski nazar phir se usi ladke par Padi
Ayaan
Woh EK bench par Akela baitha Tha Jaise hamesha hota Tha Ayera kuch pal ka liye ruki phir himmat karke uske paas chali gayi
Hii usne dheere se Kaha
Ayaan na uski taraf Dekha thoda surprise Hua hello
Dono ka beech halki Si khamoshi ho gayi tum hamesha aise hi Akela rehte ho Ayera ne poocha
Ayaan ne thoda Socha phir bola Haan aadat Hai
Ayera halki Si muskurayi aadat badli bhi ja sakti ha
Ayaan ne uski taraf Dekha Jaise pehli Baar Kisi ne usse aise Baat Ki ho tumhara Naam Ayera Hai na usne poocha
Ayera thodi surprise hui tumhe Kaise pata
Ayaan ne halka Sa smile Kiya class mein suna Tha dono dheeri Baat karne Lage
Pehle thoda awkward baatein.... Phir thodi normal.... Aur phir halki Si dosti
Bell Baji toh dono class Ki taraf Chale Gaye
AJ pehli Baar ayaan last bench Ki jagah Ayera ka sath baith Gaya
Ayera ko thoda ajeeb Laga....par accha bhi
Aur ayaan woh bhi Aaj pehli Baar itna chup Nahi Tha
Shayad dono ka bich kuch Naya shuru ho raha Tha ✨
