Ficool

Chapter 1 - every thing is fear in love and war !

Use din main samza pyar kya hota hai.main bs dekhata rah gya. Muzhe bhaut zada bura laga . Us din main samza ki galti meri thi ...Toohh ! Suno mera nam hai mahesh or main 8th class ka bachha hun . Muzhe padai main zada intrust nahi hai . Muzhe khelna bhout pasand hai . Main class main ek louta aisa ladaka tha jise padai ke allawa sab kuch atta tha . Hamare class main ek ladaki thi jiska naam.... Wo main kaha raha tha Mera best friend jiska naam Prem hai. Wo mera sabse achha dost tha . Ham bhout mazhe karthe the . Main class main baithe baithe soch raha tha "ham jab 7th main the tab hamne ek group banaya tha us group ko ek naam diya tha (our secrets) us group main ham 7 students the 5 ladake the or 2 ladakiya " tabhi mera dost kahata hai " chal be introvel hi gyi khana nahi khana kya " main kahata hun chal per tuzhe 7 class ka wo group yad hai jo hamne banaya tha . Hann yad to hai . Waise kon kon tha ? Tuzhe nahi pata main tha tu tha Tejas,omkar, Mayuri our ... Tuzhe pata hai wo kon hai . Hann pata Aaj to usne muzhase baat bhi ki.

Ham aise hi baat karte khana khane chale gye. (Our ek baat Prem ko ..... Pasand thi)

Muzhse wo baat karti thi per main usse nahi karta tha . Ham khana kha ke class main aa gye . Main desk pe beitha tha tabhi muzhe kartiki ka awaj atta hai wahi hai hamri 7 member wahi Prem ki crush wahi ladaki jo hamare class ki hushiyar ladaki hai wo bolti hai "Tera workbook complete hua kya ?" Main us se baat nahi karta tha . Esiliye Maine use bhaw nahi diya . Main desk pe beithe Bethe pen ghuma raha tha usane muzhe do se tin bar awaj di . Phir wo Prem ko awaj deti "Prem !! " Wo ek awaj main kahata " hai kya kam hai " wo bolti hai Teri workbook complete hue kya ? "Hann" ho gyi phir wo kahati hai 10 mis dena . Wo Khushi Khushi deta hai ! Tab muzhe uske upper bhout gussa aa raha hota hai kyuki Maine usase introvel ke pahale workbook magi to usane kaha ghar per hai ! Main jagah badal ke Aditya ke pass beith gya wo first desk pe bitha tha . Aditya hamare class teacher ka bhanjya tha . Main uske sath do-tin din

baitha. Maine Prem se baat tak nahin ki teesre din Prem mujhe kahta Hai kya hua bhai kyon itna naraj hai mere se. Main kahta hun use din tune usko work book di per mujhe nahin Di. Yah sunkar Prem kahta Hai tujhe to pata hi hai mujhe vah kitni pasand hai uski Main har baat manta hun kyon itna naraj ho raha hai. Main usse baat theek se nahin karke Aditya ke pass jakar baith jata hun tabhi vah Aditya se kahati hai Aditya kya tu school ke bahar mil sakta hai. Pata nahin kyon yah sunkar mujhe chidh ho rahi thi. Use samay to main shant rahata hun kuchh kahta nahin per agale din Aditya se kahta hun Aditya kal tumne kya baat ki. Vah kahta Hai Main usse milane school ke bahar Gaya per vah vahan per Thi nahin . Vah aane ke bad Main puchta Hun usse. Ham sab class mein a chuke the tabhi Aditya kahta Hai cal tumne mujhe school ke bahar milane Bulaya tha per tum I nahin kya baat karni thi. vah kahati Hai kuchh nahin. Per yah baten Prem bhi Sun Raha tha yah baat sunkar Prem Ko Aditya ke upar bahut gussa aaya kyunki Prem ki kartiki Crush thi vah nahin chahta tha ki koi aur use apna banaen. FIR algebra ke mam Aakar kahate Hain kal tumhari test Hai sab padhaai karke aana aur thodi der mein School chhut jaati Hai. Agale din jab main School aata hun. Tab hamare class teacher ke donon ladke test Dena Aaye The. Main class teacher ke bete Rudra ke sath baith Gaya kyunki Aditya se bhi vah baat karti thi vah mujhe pasand nahin tha pata nahin kyon mujhe chid Aati thi . Jab Main Rudra ke sath baitha tha tabhi vah Rudra ko awaaz deti Hai aur kahati hai ki paper Kitna hua . (Har test ke time mere bazu jo bhi biatha tha usase puchati thi ) To Rudra kahta Hai nahin abhi thoda Baki Hai jab Ho jayega tab bata dunga. (2-3 mahine purani baat hai akansha hamare class ki sabse ghatiya ladaki jo muzhe apana bhai manti the our muzhe bhi use apni bahan kehana padata tha us din muzhe sach malum padata hai ki akasha ko main uski jaan se bhi pyara hun wo muzhase bhout pyar karti thi ye baat muzhe Prem ne batayi thi . Wo muzhe pyare nahi karti thi kyun ki use lagata tha ki agar usane muzhe propose kiya to main usase baat nahi karunga muzhe wo bilkul pasand nahi thi ).test khatam hone ke baad school chut jati hai .

More Chapters