Ficool

shraapit Aaina

Temoor_Ansari
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
48
Views
Synopsis
haweli ka raaj ....or aagaami khatre ki aahat ..... rangeen duniya ki Sophie ki kahani "shraapit Aaina"
VIEW MORE

Chapter 1 - Shraapit Aaina

Kya sach mai shraap jaisa kuch hota hai..?kya Aaj bhi purani haweli,,sannata,,kisi ki aahat,,or khoon ki syahi,,cheekh,, sandook ki kaamti cheez,,khaufnaak raaj,,or dhundhla Aaina....Aisa kuch hota hai..?

Aaj ki hamari kahani isi per aadharit hai...

In sab se anjaan ,,duniya ko naye najariye se dekhne waali,,,or dekh kar ,,ghoom kar kuch seekh kar apni dairy me kaid karne wali, Sophie 20 saal ki h.... Vo nayi-nayi jagah jaati or usko apni diary Mai likhti. Usne bahut saari prait aatmao or bhatakti rooh ke baare me kahaniyo Mai suna tha .. or vo ye sab serious nhi leti thi..use lagta tha Aisa kuch nahi hota hai...usne Aaj Tak Aisa kuch na hi dekha or na hi kalpana ki.....

Vo apne dosto ki sath bahut aache-acche adventure kar chuki thi or sabhi ko capture Kiya hua tha.....,uski diary bhut interesting thi kyuki vo rangeen duniya ki kalpnao ko samajhkar apni diary likhti thi....

Sophie ko ek hafta ho chuka tha kahi bhi ghoomne Gaye huye or ab use nayi jagah ki talaash thi.....or vo kisi praacheen jagah Jana chhahti thi or isi beech use pata chala ki," Shila khandh ki panch haweli" bahut famous hai...or vo Bahut praacheen bhi h..

Vo apni friend jansie ke paas gayi or use bataya ki vo apki baar praacheen haweli jaane wali hai ....

jainsie ne pucha,,,, ki konsi haveli.....?

Sophie ne bataya ,,Are! Meri pyari jansie,,,"Mai Shila khandh ki panch haweli" ki baat kar rahu hu ,,kya tum bhi jaogi mere sath..?

Jainsie kaampne lagi or paseena-paseena ho gyi ,,uske pair kamp rahe the or vo ghabra rahi thi or kaampti aavaj mai boli,"kya tumhe us haweli ke baare Mai nahi pata ...?

Maine suna hai waha saalo se koi nhi jaata hai...or maine suna hai jo waha gaya vo vapis nahi aaya ..... mujhe lagta hai tumhe waha nahi jana chahiye...

Sophie ne kaha ,,,Aisa kuch nhi hota,,vo pracheen haweli hai isiliye shayad vaha koi nhi jaata .... Mujhe lagta hai ye sab kuch nhi hota hai...or Mai vaha jaaungi or sab apni diary Mai likhungi....or tumhe dikhaungi ki ye sab kuch nahi hota hai....

Jainsie ne use bahut samjhaya per naadaan sophie zidd kar chuki thi ki use waha Jana hai ....or agle din vo haweli ke liye jaane lagi .

Abhi vo haweli ke bahar thi or usne dekha ki aas-paas koi nhi tha,,sannata chhaya hua tha or jaha Tak bhi dikhayi deta vhi tak andhera tha,,,,darwaaje per jaale lage huye the...purana bada darwaja praacheen ke hone ka ehsaas dila Raha tha...abhi vo bhut khus thi or khud se keh rahi thi ki use isse pracheen jagah nhi mil sakti thi ....per uski najar uper padi...or usne dekha ki bada-bada khoon se likha hua tha "panch haweli"

Use dekh kar Aisa lag raha tha maano abhi likha Gaya hai

Pehle vo thoda ghabra gayi lekin usne jyada dhyaan nhi Kiya or aage badhi.... jaise hi vo aage badhi to ek nayi kahani...

Kya thi ye kahani.....

Kya anjaan sophie ka kisi se saamna hone wala tha....?

Kya use koi bula Raha hai or kya uska diary likhna shraap banne wala tha...?

Kya sacchai hai is haweli ki ?