Kahani ka shuruwat hota hai Ravi naam ke ladke se wah pehli baar apne ghar se dur padhie karne aaya tha uska admission ek purane college me huaa tha jo Sahar se thoda bahar tha college ke sath hi ek hostel tha purana or thoda darawna jaise hi Ravi hostel pahucha get per betha chokidar use dekhkar muskuraaya ... usne pucha kon sa room mila hai Ravi ne kaha "Room No 307" chokidar ki muskan dhire dhire gayab ho gayi 307 usne dhimi awaaz me kaha beta raat ko jaldi so Jana Ravi has para are uncle me derta nahi hu chokidar bas etna bola yahi sab bolte hai pahle din Ravi jab room no 307 me pahucha toh derwaja khudhi thoda khul gaya Ravi ne kaha "hello"under ek ladka betha tha jiska naam tha Aman ne pucha tu naya hai Ravi bola haa roommate hai tu" haa or shayad aakhri bhi" Aman huste hue bola matlab? Kuch nahi majak kar raha hu lekin Aman ki hasi thodi ajeeb thi jaise kuch chupa raha ho raat ko 12 baje Ravi so raha tha, tabhi use awaaz aayi hi...hi...hi... Jaise koi dhire dhire hush raha ho Ravi ne aakh kholi Kamra andhera tha Aman tu hash raha hai kya? Usne pucha koi jawab nahi tabhi phir awaaz aayi es baar or saaf hi...hi...hi... Ravi dar gaya usne mobile ka torch on ki or dekha Aman apne bistar par nahi tha Ravi ne phir pukara" Aman" tabhi piche se awaaz aayi mujhe dhundh rahe ho Ravi mura or dekha Aman uske piche khada hai Ravi chilaya Aman bola me toh yahi tha tu hi ghum raha tha Ravi ko kuch samajh nahi aaya lekin usne socha saya agle din Ravi ne baki ladko se pucha "Room No 307" ke bare me kisi ko kuch pata hai? ek ladka bola tu sach me waha rehta 5 ? ha kyu? "Bhai waha ek bhoot hai... Jo hasta hai "Ravi has para tum log majak kar rahe ho nahi bhai pichle saal ek ladka waha pagal ho gaya tha wo kehta tha koi use her raat haskar jagata hai Ravi thora dar gaya... Lekin bola me nahi darta us raat Ravi ne taikiya ki woh jagega 12 baje phir wahi awaaz "hi...hi...hi..." es baar Ravi ne turant uthe kar kaha kon hai? saamne aa achanak kamre ka pankha khud band ho gaya... Khirki khul gayi..or thandi hawa ander aane lagi phir dhire dhire ek perchai diwaar per dikhne lagi... or wo parchai hash rahi thi hi... hi...hi... Ravi kaap gaya tu... tu kon hai ? Perchai boli me is kamre ka asali Malik hu Ravi dar ke mare behosh hone wala tha tabhi Aman achanak hash para are bewakuf ! Ye sab prank hai Ravi chowk gaya kya ? Aman bola dekh ye projector hai... Ye sound speaker... or ye remote Ravi gusse me bola tu pagal hai kya ?me darkar mar jata Aman huste hue bola bhai har naye student ke sath hi prank karte hai Ravi ne chain ki saas li toh koi bhut nahi hai ? Aman bola nahi bass hamara talent hai dono hasne lage lekin use raat jab dono Sogaye phir se awaaz aayi hi...hi... hi...es baar projector band tha... speaker bhi band tha... Aman uthe gaya Ravi tu phir prank kar raha hai Ravi bola nahi yaar dono ne dekha kamre ke kone me ek shadow khadi hai... Jo dhire dhire hush rahe the ab dono ke hosh Ure gaye Aman bola ye ... ye hamara prank nahi hai shadow bole tumne mera majak banaya... ab me tumhare sath khelunga...Ravi or Aman dono dar ke mare ek dusre ko pakar liye Aman bola bhai " idea " hai kya ? hum ise bhi prank kar dete hai Ravi bola tu pagal hai ? Lekin Aman ne Jor se kaha are bhoot bhai ! chai piyoge ? Shadow ruk gayi usne pucha kya ? Aman bola hum hostel ke sabse funny log hai... darana hai toh properly darao bhoot thoda kanfuse ho gaya bhoot bola " me... me darane aaya hu..." Ravi bola toh darao na! ye hi... hi... kya hai? thoda creative bano Aman bola "ha baground music dalo , entry proper karo " "pehli baar koi insan mujhe tips de raha hai dhire dhire bhoot or dono dost dost ban gaye ab har raat tino milkar prank karte hai pure hostel me khabar fale gaye "Room No 307 me teen pagal rahte hai...do insaan or ek bhoot or sabse majedar baat ab wo bhoot bhi hasta hai... lekin darawna nahi... majedar tarikhe se" hihihi... bhai aaj kisko daraye." The End,
Thank you
