Ficool

Chapter 1 - jindagi ke faisle kaise le

Chanakya niti ka Pramukh bhav hai ki vyakti ise padhakar is baat Ko bhali prakar Jaan legi kaun sa kam uchit hai aur kaun sa anuchit unhone prachin Bhartiya Shastra mein bataye Gaye niyamon ke anusar hi likha hai unka kahana hai ki log ise padhakar Apne kartavya aur kartavya ka Bhali prakar Gyan prapt kar sakenge rajniti ke nyan se hi manushya apni buddhi ka Sahara lekar samay ke anusar achhai aur burai mein bhed kar sakta hai.

Sabse pahle Aacharya Chanakya ne yah bataya hai ki drushta logon ki sansargha se buddhiman manushya ko dukh uthana padta hai.

Chanakya ne manushya ke jivan mein dhan ke mahatva ko bataya hai unka kahana hai ki vyakti ko Sankat ke samay ke liye dhan ka sanchay Karna chahie us dhan se apne Bal bacchon tatha striyon ki raksha bhi karni chahie parantu iske sath unka yah bhi kahana hai ki vyakti ko apni raksha sarvopari samajhni chahie Jin logon ke pass dhan hai vah kisi bhi aapatti ka samna dhan ke dwara kar sakte hain parantu unhen yah baat bhi Bhali prakar samajh leni chahie ki Lakshmi Chanchal hai vah tabhi Tak tik kar rahti hai jab tak uska sadha upyog Kiya jata hai durupyog aarambh karte hi Lakshmi ka nasht ho jana swabhavik hai.

Chanakya kahate Hain vyakti ko usi sthan per rahana chahie Jahan uska Samman Ho Jahan per uske bhai Bandhu ho aaj jivika ke sadhan ho ISI sambandh mein vah aage kahate Hain ki Jahan dhanwan ved shastron ko janne wala vidwan Brahman Raja athva shasan vyavastha Nadi Na Ho vahan bhi nahin rahana chahie naukaron ki karya kushalta ka tabhi pata chalta hai jab unhen koi karya karne ke liye Diya jata hai apne sambandhiyon aur mitron ki Pariksha use samay Hoti hai per koi aapatti aati hai gruh vyakti ka sabse bada Sahara uski stri hoti hai parantu stri ka bhi vastvik Swaroop usi samay samajh mein aata hai jab vyakti Puri tarah nahin ho jata hai.

Manushya ko chahie ki vah adhik lalach mein n pade use vahi karya karna chahie jiske sambandh mein use pura Gyan Ho jis karya ke sambandh mein use nyaan n Ho use karne se Hani ho sakti hai.

Chanakya ne kul ki Drishti se bhedbhav ki baat nahin Mani unka kahana hai ki yadi neech kul mein utpann ladki bhi acche gunon se yukt hue to usse Vivah karne mein koi Hani nahin ISI prakar vah yah bhi kahate Hain ki Singh aur bagi Aadhi Tej panjon wala janvaron se dur rahana chahie aisi nadiyon ke aas pass bhi nahin rahana chahie jinke kinare kache ho aur jo barsat aadi ke dinon mein lambe chaude maidan mein fail jaati hai ISI prakar lambe singe wale sand aadi pashuon se apna bachav rakhna chahie jis aadami ke pass koi hathiyar hai use unka bhi kabhi Vishwas nahin karna chahie.

More Chapters