Ficool

Chapter 14 - ek chhalaawa

Chapter 14

Mai thodi der ke shok me chalaa

Gya ki nilima ko depression tha ,aur mujhe iske baare me kuch khabar hi nhi thi.

Doctor ne mujhe nilima ki dawae di aur mujhe ek dimagi wisheshgra ka number diya taki mai unse contact kr saku.

Mai nilima ko lekar wapas ghar aa gya .maine nilima ko dawae di

Aur wo turant hi so gyi.

Mai baraamde me aagya.

Mai sochne lga ki kitni khushi ke

Saath me aur nilima kul devi ki puja ke liye jaana rhe the.nyi nyi

Hmari shaadi hue thi,is beech

Kitna sab kuch ho gya .mai ye sab soch hi rha tha ki tabhi wahaa mamaji aa gye unhone mujhse puch ki nilima ki tabiyat ab kaise hai maine kha ki use

Depression ho gya hai.mamaji

Ne kha ki jald hi Nilima theek hi

Jaegi .mujhe chinta na krne ko kha .unhone kha ki mai nilima ke ghar pr ek grah shanti puja krwa loo.

Maine kha ki jaisa mamaji ko theek lage.unhone kha ki mai nilima ko puja ke baare me na

Batau. maine pucha ki esa kyo.

Mamaji ne kha ki wo abhi bimar hai use bataege to wo kaam me

Madad krwane lagegi.maine bhi

Unki baat maan li.mamaji ne mujhse kha ki mai subah nilima ko ghumane le jau aur puja ke time pe ghar wapas le aau.taki

Nilima ka mood fresh ho jaae.

Maine ye baat bhi maan li.agle din mai mamaji ki baat maante hue nilima ko gaaw ghumane le gya.

Nilima kehne lagi ki mai achanak use gaaw ghumane kyo le aaya hu .Maine kha ki taaki uska mood fresh ho jaae.dawae khaane ke baad wo theek ho gyi thi ,isliye usne wha khoob masti ki. Jaise hi hm wapas laute to ghar me andhera tha.

More Chapters