Ficool

Chapter 1 - the last door

Arya ek Yuva aur mahatvpurn lekhika Thi vah hamesha ek Badi kahani khojne ke liye utsuk rahti Thi . ek din usne Shahar ka ek purane aur khadhar ghar ke bare mein Suna .Jo varshon se band pada tha. log kahate the ki uss Ghar mein ek Rahasya Shakti Hai Jo logon ko apni aur aakarshit Karti Hai Arya Ne uss ghar ke bare mein aur jankari ikhatta karne ka faisla Kiya . usne Paya ki uss ghar ka malik ek Amir vyapari tha Jo Kii sal pahle mar gaya tha. uske bad se ghar band pada tha.

Arya Ne Ghar ke andar jaane ka faisla Kiya .Vh Ghar ke samne khadi .Thi aur uske Dil mein ek Ajeeb Sa dar tha usne gehri sans Li aur ghar ke andar kadam Rakha Ghar ke andar bahut andhera tha Arya Ne phone ka flashlight chalu Kiya aur aage badhane lagi .Ghar ke andar bahut sari dhul aur kabad Thi . Arya ko laga ki vh ek purani samay mein wapas ja rahi hai.

Vh ghar ke ek kamre mein pahunchi Jahan ek purana piano Rakha tha. Arya ko piano bajane ka shauk tha isliye vh piano ke pass jakar baith Gai usne piano ki gunjiya per hath Rakha aur ek dhun bajane lagi Achanak piano ki dhun band Ho Gai. Arya na piche mudkar dekha to usne ek ladki Ko dekha Jo uske samne khadi Thi ladki ki Aankhen bahut badi aur daravani thi...

Kaun Ho Tum? Are any pucha .

Ladki ne jawab nahi diya. Vah bus Arya ko dekhti Rahi. Arya ko laga ki vah ladki kuchh kahana chahti hai lekin vah kah nahin Pa Rahi.

Achanak ladki ne Arya ka hath pakad liya aur use ghar ke ek aur kamre mein Le Gai. Aryan na dekha ki vah Kamra bahut sari tasviron se bhara hua tha tasvir mein ek Hi ladki Thi Jo Arya ko dikhai dikh rahi thi

Yah Kaun Hai? Arya ne poochha .

Ladki ne koi jawab nahin diya bus vah Arya ko dekhti Rahi Arya ko laga ki vah ladki kuchh kahana chahti hai lekin vah kah nahin Pa Rahi.

Achanak Arya ko ek awaaz sunai Di.

Arya Bahar nikalo...

Arya na piche mudkar dekha to usne dekha ki ghar ka darvaja khula hua tha vah ladki gayab ho gai Thi Aryan Ne socha ki vah Ghar Se Bahar nikale ya uss ladki ki talash Karen?

Arya ne ek bar fir se use kamre mein dekha Jahan tasvir Thi. use laga ki vah ladki use kamre mein Hi kahi hai. usne kamre mein jaane ka faisla Kiya. Vah kamre ka andar gayi .kamre ka andar Jana ka bad usne dekha ki ek tasvir per ek Naam likha tha ''imali '' .Arya ko laga ki jo ladki use dikhi dii thi yh name sayad use ladki ka h .

Ab Ham kal dekhenge kya Arya uss ladki ki talash karegi ? ya FIR vah Ghar se bahar nikal jayegi ?

Note - kal janne ka liya utsuk Rahe ki Arya use Ghar Se Bahar nikaleg gayegi ? ya FIR use ladki ki talash karegi ?

More Chapters