Raat unusually bahut Khamosh thi....
Aasman bilkul saaf tha , Jaise Kisi Ne sare Badal hata kar sirf sitaron ka samundar chhod diya ho. Sheya ne aapni aakhen uper tikayi hui thi - woh bachpan se hi starts ko dekhte hue ek aajeb sa connection feel karti thi jaise woh usse bula rahe ho.... Ya jaise woh unhe phele se janti ho.
"Tum phir yehi ho ...."
Peeche se aati halki si aawaz ne uska dhyan tod diya .woh palti - Aarav tha .uski aakhon mein hamesha ki tarah ek Shanti thi per Aaj kuch aur bhi tha... Kuch jo sheya samaj nhi payi .
" Tumhe nhi lagta .....yeh sab normal nhi hai ?" Sheya me dheree se kaha , aasamam ki taraf ishara karte hue.
Aarav uske paas aakar khada ho gaya.
" Kya?
" Ye starts... Yehi pattern....har raat change ho jaye hai . Jaise koi message ho".
Aarav muskura diya per uski muskaan aakhon tak nhi pahunchi . " Shayad tum zyada soch rahi ho "
Sheya chup ho gyi .par uske aandar kuch hil raha tha . Yehi srif overthinking nhi thi kal raat usne ek sapna dekha tha . Ek ajeeb jagah ka sapna .
Ek plane ..... Jaha zameen hawa Mai tair rahi thi .Jahan waqt ruk jata tha .Jahan log the per insaan jaise nhi.
Aur sabse aajeeb baat us sapne mai aarav bhi tha .
Par woh Aarav..... Aalag tha .
Uski aankhein chamak rahi thi aur usne sheya se ek hi baat kahi thi —
" Tumhe yahan nhi aana chahiye tha."
"Tum thik ho ?"..... Aarav ki aawaz ne usse wapas reality mai kheech liya.
"Haan....." Sheya ne jhoot bola.
Usne decide Kiya ki woh Aarav ko sapne ke baare mai nhi batayegi .pata nhi kyun par usse laga ki aagar usne bata Diya toh kuch galat ho jayega .
Hawa aachanak thodi thandi ho gayi sitaro ke pattern phir se badalne laga — iss baar aur tej
Sheya ki saansein ruk si gayi..
" Tum dekh rahe ho na ?' usne halki si ghabrahat ke sath poocha.
Aarav ne uper dekha ... Aur iss bar woh bhi serious ho gaya.
Sky mein ek ajeeb sa shape ban raha tha . Jaise koi darawana.ek invisible gate , jo dheree dheere open ho raha ho. Aur uss gate ke andar .... Andhera nahi tha .
" Waha ek aur duniya thi "...
Aachanak sheya ke haath per ek halka sa nishan chamak utha – ek symbol jo usne kabhi phele nhi dekha tha.
" Yeh .... Yeh kya hai ?...." Usne ghabra kar kaha .
Aarav ne uska hath pakada – par jaise hi usne symbol dekha , uska chehra safed pad gaya .
" Impossible" usne dheere se kaha
" Matlab" sheya ne poocha
Aaravkuch bolne hi wala tha ..... Par tabhi sky ka woh "gate " aachanak aur zyada khul gaya .
Ek tez roshni seedha sheya par padi..
Uski aankhein band ho gyi ... Aur jab usne dubara khola —
Aarav wohi tha .
Aur woh khud ... Zameen per bhi nhi thi.. uske niche kuch bhi nhi tha
Sirf ek anang , be wazan space ...
Aur door se wahi aawaz dobara sunai di .
"Welcome to the plane of universe..
Sheya ka dil zor se dhadakne laga .
Kaun hai waha ???
Usne cheekh kar poocha .
Per iss bar koi jawab nhi aaya ....
Sirf ek aur. Cheez samne aayi.
Ek shadow... Jo dheere dheeeree uski aur aa rahi thi .
Aur sabse hairan karne wali baat us shadow ka chehra – Aarav jaisa tha .....
