Ek ladke ke upar jab akela pan havi ho jata ka tab wo duniya se chhupane ki koshish kata hai . Hamare society main aksar ladko se yeh ummed ki jati hai ki wo "strong" rahein par andar hi andar wo kafi kahli pan mehsoos kar sakte hain.
Ek ladke ke liye akela pan tab aur zyada chubhta hai jab:
• Wo sab ke samne "sab thik hai" kahana padta
hai.chahe kitne bhi tension ku na ho , doston ya gahr walo ke saamne use muskuar ke khana ki " sab thik hai" thaka deta hai.
• School, career, fitness ya college mein sabse aage niklne ki race main itna busy ho jata hai ki kabhi kabhi wo apne doston aur restedaro ko peeche chod deta hai.
• yah dar ki "log kya sochenge " ya " kahin main kamjor na dekhu" yeh sare bate ladko ko apni baat apne tak rhknae ko majbur kar deti hai.
Isse bahar niklne ke Kuch raste :
• Workout karna ya koi sport khelna sirf body ke liye nahi, dimaag ke liye bhi zaruri hai. Jab aap pasina bahate hain, toh stress kam hota hai aur ek "purpose" milta hai.
• Aise dost banaiye jinke saath aap sirf maze na karein, balki thodi serious baatein bhi kar sakein. Ek-do sache dost poori bheed se behtar hain.
• Agar bol kar nahi keh sakte, toh likh kar, music sun kar, ya gaming ke zariye apna dimaag divert karein.
