Mera naam hai Aniket ,or mai Bharat Desh ka niwasi hun UP ke Ballia jile me mera gaw hai jiska naam pindahra hai .mai apne baare me aaplogo batana chahta hu or mai chahta hu ki aaplog mujhe samjhne ki kosis kare .31july 2009 ko mera janm huaa mere Nana ke yaha jo ki hamre rasada jile ke ak gaw me hai.bachapan se hi maine apni akhon ke samne apni or apni ma -bap ki paresani ko dekha hai.abhi meri umar lagbhag 16ya 17saal ki hogi mujhe lagta hai ki mujhe kuchh to karna chahiye lekin kya karu ,jab mai apna karm to karta hu lekin mera bhagya sath nahi deta,mere papa kafi sarab pite hai or mujhe yaad hai mai jab Chhota tha tab mere papa sarab ke nase me meri mammi ko marte the or mai ye sab dekhta tha 🥺 lekin samay ke sath sab kuchh badalta gaya 2-3saal pahele ki baat hai mera ak chacha hai,jiski haal hi me Saadi Hui hai mere papa ki Saadi ke 2 saal baad hi unki ma yaani meri dadi ji ki mrityu ho gai mera chacha abhi Chhota tha.meri ma ne use apne bete ke saman pala or uski dekh bhal ki lekin usi ne usko pairo tale kuchla hai.apne awara dosto ke sath sarab pikar der rat ko ghar pe aata tha or meri mami ko Marta tha yaha sab mai apni aakho se dekhta tha. aakhir ak 13-14saal ka ladka kya hi karega mai apni mami ko bachane ke liye chillata raheta lekin Ghar ke darwaje band karke wo meri mami ko Marta tha.yah sab dekhkar mai kaafi Tut Chuka hu abhi main 10 me padhta tha maine halhi me exam diya hai.mete ghar ki aisi halat ko dekhakar pata nahi mera man kya-kya karne ko karta hai.abhi to meri zindagi sahi se suru bhi nahi hui hai lekin itani Kam umar me mujhe kaafi dukhi ka saamna karna pad Raha hai .mai yahi soch kar rahe jaata hu ki mai to ak ladka hu ye to mujhe sahena hi padega lekin us ma ka kya jo apani saari jindagi dusro ko sukhi rakhne ke liye khud ke sapno ko daba diya ,Saadi ke pahele apne ma baap ke dabaw Shena unki sewa karna unka kahena manana phir Saadi ke baad sasural walo ko sahena .log kahte hai Jo dukh jhelta hai wo kabhi sukh ka bhagi banega .sayad yahi soch kar abhi tak wo ye sab saheti aa rahi ho.mujhe to kafi chinta raheti hai apni ma or baheno ki mai sochta hu mai kabhi amir banunga or apani saari samsyao ko hal karunga .kaas bhagwan meri is dil ki aawaj ko sun ke🥺jo ki mai in akshro me naya nahi kar sakta.aaplog ye mat samajhiyega ki mai koi kahani likh raha hu mai to apni zindagi ki asli kahani suna Raha hu jo ki mere bachpan se lekar Aaj Tak ki aadhi adhuri hai ,mai aage batata hu .....
