Ficool

Chapter 1 - my Life storys

Ye story meri grandmother ki Hai meri grandmother Ne atmhatya ki thi ek din mene apni mummy se puchha ki meri grandmother ka death kaise hua Meri MAA ne khaa ki jab Tumhare dad and tumhare uncle chhote the tab unke ghar ek ladki kam Karti thi wo ladki tumhare uncle se pyar karne lagi tumhare grandfather ko iss baat ka pata chal gaya unhe yah sab kuch bilkul pasand nahi tha ek rat unhone ush ladki ka sar ek hasuwa se kat Diya aur usaki Lash pash ki nadi me phek diya yah sab tumhari dadi ne dekh liya yah ye dekh kar tumhari dadi pagal ho gai meri aur tumhare dad ki shadi ke 2 sal pehale jab tumhare dad aur ghar ke sare log Ghar se Bahar the jab Tumhare dad Ghar aaye tab Ghar ka darwaja band tha tumhare dad ne jab darwaja khola to dekha tumhari dadi ne phasi laga liya aur uske 3 saal baad tumhare dada ne bhi waise hi phasi lagaya tha jaise tumhari dadi ne yah sunkar me hairan ho gai meri maa ne kaha ki iss ghar me kai baar tumhare dada dadi ko dekha gya tab se pta nahi mujhe mera ghar koi bhut ka ghar lagne laga kai bar mujhe lagta hai ki mere paas koi ha ab pata nahi ye hakikat ya koi weham sayad us ladki ne apna badala le liya tha

More Chapters