Ye kuch samay pahle ki baat hai jab main 13 saal ki thi . Main ne aapni zindagi me bahut sari galtiya ki aur main ye sochti hu ki Jo main ne galtiya ki wo galtiyon Ko koi aur na kar ke aapni zindagi ke kuch kimti waqt ko jaya na kare . Is liye aap in cheezo ko na karee .
1) TEENAGERS FIRST MISTAKE ( sab mujhe dekh rahe hai ) - Ye hamari sabse badi bhool hai ; Ki koi hame dekh raha hai , Hakikat ye hai ki baki sab bhi yahi soch rahe hai ; Ki yaha har koi aapni hi uljhano me itna
Uljhe rahte hai ; Ki unhe dusro ki choti - moti kamiyon per gor karne ka samay hi nhi hai ; Ki koi aapni kamiya ya aapko dekhe . Ye sabse badi galatfahmi hai ki aapko log dekh rahe hai .
2) TEENAGERS SECOND MISTAKE [ bhavnaon ka tufan ( Emotional Overdrive)] - Choti se baat par bahut zada gussa karna ; Ya break-up hone ke baad aisa mehsoos karna jayse , Zindagi khatam ho gayi ho...!
Natija - Bhawnao me baah ke aise faisle lena
; Jiska pachtava baad mein ho . Sayad main ne ye na kiya ya kaha hota . To ye aaj na hota .
3) TEENAGERS THIRD MISTAKE [ Kudh ko ajay samajhna (Invincibility Complex)] - Bina helmet ke tej bike chalana , Buri aadaton ( Nash aadi ) me padna ; bahut tej awaz me gana suna . Ya fir ye sochna ki " mujhe kuch nhi hoga " . Ye socha khud ko bahut Bari nuksan pahuncha sakta hai .
4) TEENAGERS FOURTH MISTAKE ( social media par over- sharing ) - Galti = gusse me ya dukh me akar social media pe kuch bhi post kar dena bina soche samjhe .
Natija - Internet par Dali Hui chij kabhi delete nahin Hoti ; Ya khatm nahin Hoti ; Saalo baad ki wo cheez kahi na kahi hoti hai jisko dekh ke ; Sharmindagi mehsus hoti hai .
Is liye kabhi bhi kuch bhi post karne se pahle ek baar socha jaruri hota hai . Ki main kya post kar rahi hu ya kar raha hu .
5) TEENAGERS FIFTH MISTAKE ( Mummy Papa ko dusman samajhna) - Azadi ki chah mein Aksar Ham teenagers ko lagta hai ; ki hamare mummy papa hamari Khushi ke khilaf Hai .
. Galti : Unki Salah ko rok- tok samajhna aur unse dooriyan bana lena .
. Seek : Kuchh sal bad samajh aata Hai . Ki vah akele aise log the . Jo Bina kisi swarth ke hamara Bhala chahte the . Per Ham teenagers ko yah baat kabhi samajh hi nahin aayi . Humko yah hamesha se rok-tok hi lagta tha . Per yah waqt badalne per pata Chala ki wohi hamare Liye Sab kuchh the .
Un se acha dost bhi wahi the best friend jinko ham log Aaj kahate Hain . vah to hamare pass hamesha se the . Per hamen thodi der se pata Chala . Is liye hi hame aapne mummy papa ko baat Sunni aur samajhni chahiye .
6) TEENAGERS SIXTH MISTAKE [ raato ki neend kurbaan karna tha (Sleep Deprivation) - Ham teenagers ko lagta hai ki raato ko 2 - 3 baje tak jagkar phone chalna ya reels dekhna ya chalna & dusro se baatein karna . Ham teenagers ko " cool " lagta hai . Ye hi hamari galti hai .
. Galti : Yah sochna ki " main kam so kar bhi thik rahungi ya rahuga " .
. Natija ya Asar : Neend ki Kami se chidchidapan badhane lagta hai . Ya hone lagta hai . Padhaai mein man nahin lagta ; ya lambe samajh mein aise hi karte Rahane per mansik swasthya ( mental health ) per bahut bura asar padta hai .
7) TEENAGERS SEVENTH MISTAKE ( 'peer pressure' me aa kar galat faisle lena ) - Ham teenagers ko doston ke samne " fit " hone ki itni Chahat Hoti Hai Ki Ham vah kam bhi kar lete hain . Jo hamen bilkul pasand nahin hota .
. Galti : sirf isi vajah se ham cigarette , pina ya beer pina , party karna , padhaai chhodana . Kyuki " baki sab to kar rahe hain". Ye sochna aur ushi soch me ham Dhal jate Hain .
. Seek : Jo dost aapko galat kam karne ke liye majbur Karen , vo asal mein aapke dost Hai hi nahin . To dost kam ho , per aise ho jo aapko Sahi aur galat main antar bataen .
8) TEENAGERS EIGHTH MISTAKE [ sharir ko lekar bahut chinta (Body Image Issues) -
Social media ya internet aur filters Ki duniya dekh dekh kar apni tulna ya barabari dusre se karna . yah Ham teenagers ki fitrat ho gai hai .
. Galti : yah sochana ki agar aap ek khas tarike se nahin dekhte , to aap "Sundar" nahin Hai .
. Asar : iske social media ya internet aur filter Ki duniya dekh dekh kar iske chakkar mein Aksar teenagers dieting ( bhukha rehna ) karte Hain . Ya khud Ko kamtar samajhne lagte Hain . teenagers Ki Sabse Badi bhul hai . Ki Ham khud Ko kam aur dusre ko jyada aakne lagte Hain .
9) TEENAGERS NINETH MISTAKE [ padhai ko kal par talna ( Procrastination) - " aabhi to bahut hi time hai wali soch" hoti hai ham teenagers ki .
. Galti : Pure sal mauj masti kar ; ke exam ke 2 din pahle Puri book rakhne ki koshish karte hain ya yad karne ki koshish karte Hain .
. Natija : bahut jyada tanav (stress) aur kharab result dekh kar . Yah regret karna ki Kash ache se taiyari kar liye hote . To aaj ye mere kam number nhi aate . Aur aage jakar career ki mauke kam ho jaate Hain .
10) TEENAGERS TENTH MISTAKE ( pyar aur "aakarshan" Ke bich me antar na samajhna ) - Ham teenagers ki hormonal badlav Ke Karan ya badlav ki vajah se kisi ke prati . " Aakarshan " hona swabhavik hai .
. Galti : Pahli baar hone wale Kisi bhi aakarshan ko 'saccha pyar ' maan lene par
Ya uske liye Apni padhaai ya parivar balon ko najar Andaaz karna .
. Hakikat : Is umra mein ya fir Ham teenagers ki age mein prathmikta ( priority ) bahut jaldi Badli Ja sakti hai . Ya badalti hai .
Yaad Rahe: galti karna Bura nahi Hai ;
Galti ko baar baar karna Bura Hai .
Galti karna is umra mein is umra ka ek hissa hai . agar aaj aap apni purani galtiyan ya harkaton Ko yad karke sharminda hote Hain ; to iska matlab hai .
Ki aap ab samajhdar Ban Gaye Ho ya gayi hai ...!!
" ANUBHAV AKSAR UN GALTIYON KA NAAM HAI .....!!
jO HAMNE atit ME Ki HOTi HAi..??
