Ficool

Chapter 1 - ⭐meri galti⭐

Ek school me Ayan nam ka ladka padhta tha .

Wah padhayi me bahut hosiyar tha lekin uski ek aadat thi wah apni glti Manta nhi tha.

Ek din science exhibition ke liye class ka sbse sundar model bnaya gya. Sab usse dekhne aaye. Aayan se galti se wah model girkar Tut gya.

Dar ke mare usne jhuth bol diya..

"Ma'am ye maine nhi toda... sayd hawa se gir gya".

Teacher ne kuch nhi bola, bad muskura di.

Agale din teacher ek Chhota sa naya model lekar aayi. Aur boli...

"Yah us bachhe ke liye hai jo apni glti manne ki himmat rkhta h".

Puri class chup thi... Aur aayan k dil me kuchh Tut gya. Aur usse samjh aa gya ki galti se bda jhuth hota hai usse chhupana.

Wah khada hua aur bola.

" Ma'am, wo model Maine toda tha.mujhse glti ho gyi."

Teacher ne usse data nhi. Balki wahi chhota model usse de diya aur bola ki..

"Ab tumne sabse bdi jit hasil ki hai.- Apni galti manana."

Us din ke baad aayan ne kabhi apni galti nahin chhupai.

⭐"Es kahani se hme ye Sikh milti hai".

Galti Krna galat nhi hai usse chhupana sbse badi galti hai.

More Chapters