Ficool

Chapter 1 - Unnamed

Jindagi kaise jini chahiye?

Ek Carpenter tha | bahut mehanati | Tarif he uski kamai thi | Budha ho chala tha|Ek din use ek vichar aaya | Ab yah sab chodkar parivar ke sath aakhiri din bitane chahiye | Workshop ke malik ne usne apna yah vichar bataya| Malik dukkhi hua|Uska sabae vishwasaniy karmachari hamesha ke liye ja raha tha | Malik ne kuch socha, fir kaha chalo tum ek aakhiri ghar aur bana do | Carpenter ka man nhi tha | Fir bhi usne kaha thik hai | Mai apni jindagi ka aakhiri lakdi ka ghar aur banaunga| Wo peheli he manme retire ho chuka tha| Esliye usne badi mushkilo me vah ghar pura kiya| Lekin us ghar kon dekhkar koi bhi keh sakta tha, yah kisi nausikhiye me banaya hai| Malik ghar dekhne aya aur bola,yah meri taraf se tumhare liye taufa hai | Ab carpenter dukhi ho gaya | Sochne laga agar yah ghar mujhe he milna tha to mai ese duniya ka sabse shandar ghar bana sakta tha|

Sikh- Hamari jindagi bhi aisi hai | use sarvshreshtha banane ka mauka hame eshwar ne he diya hai....|

More Chapters