Subh ke 5 bj chuke the Maan ki ankhe khul jati hai wo sky ko apni god me sota dekh boht hi khush ho rha hota hai par use yaad ata hai raat me sky ne kha tha ki wo avi ko haa kr degi kyuki wo nhi chahti thi ki avi khud ko nuksan pohchaye...
Maan sochne lagta hai ki wo kya kare ye baat use kafi pareshan karne lagti hai wo sochta hai ki sky ko sab bta dega ki suicide ek plan hai sach nhi par us plan me maan bhi to shamil tha agar wo sky ko batayega to ho skta tha ki sky maan se bhi gussa ho jaye...
Wo sky ko dekhne lagta hai..
Sky ne usko kaske pakad rkha tha wo sochta hai ki use utha de par uska man nhi krta..
Par ek bus ke horn ko sunke sky achanak se uth jati hai
Maan kehta hai good morning
Sky kehti hai hume to hospital jana tha raat bhar se hum yhi hai wo maan ko datne lagti hai kehti hai kaise bhai ho tum
Apne bhai ki billkul bhi fikr nhi hai mene kha tha so jauu to uthaa dena sky boht gussa krne lagti hai...
Maan Mehta hai tum shant ho jaye mene hospital me baat ki thi avi bilkul thik hai aur tum thak chuki thi isliye mene uthana thik nhi smjha...
Ab gussa choro aur chlo chai pike ata hai
Pini hai naa 👀
Sky gusse me kehti hai nayi pini hai tum piyo jake
Maan kehta hai are ab to gussa choro avi bilkul thik hai
Sky kehti hai ha chlo hospital chlte hai chai baad me pina
Dekhna hai mujhe avi kaisa hai aaj me usko haa keh dungi tanu sahi keh rahi thi ek chance to de hi sakti hu
Maan ko boht gussa ati hai par wo ab kuch kar bhi nahi skta tha wo dukhi ho jata h aur chup chap uske sath hospital chla jata h pure raste kuch nhi bolta..
Sky kehti hai kya hua maan itne shant ho sab thik to hai maan kehta hai thik nahi bhi hai to usme meri hi galti h..
Maan ko aise bolte dekh sky sochti hai isko kya hogya raat me to thik tha
Wo dono hospital me jate hai wha unhe unka dost gate par hi mil jata h jo nakli doctor bna hota hai sky puchti hai avi kaisa hai doctor kehta hai wo thik hai pae aap sab khyal rkhiyega ka ki wo tension na le...
Sky kehti hai ab mil sakti h wo avi se
Doctor use kehta hai jaoo sky maan ko bhi sath chalne ko kehti hai Maan kehta hai tum jaao mai baad me aa jaunga doctor kehta hai ab to sky pkka usko haa keh degi hamara plan successful ho gya hai bhaii
Maan gusse me use dekhta hai aur wha se chla jata hai
Idhar sky avi se milne ja rhi hoti hai par
Jaise hi wo uske room ke bahar pohchti hai dekhti hai avi to bilkul thik hai wo tanu ke sath baith ke enjoy kr rha hai
Phir sky sunti hai ki tanu avi se kehti hai hamara plan work kar gyaa ab dekhna kaise sky tereko haa kehti hai
Ye sunke sky ko boht hurt hota hai aur gussa bhi ataa haii
Wo room me jati hai hai to avi aur tanu dono acting krne lagti hai phir sky kehti hai kaise ho avi
Aur tanu tu gayi nai tujhe to station jana tha tanu thoraa ghbraa ke kehti
Aree naai wo kya hua na cancel ho gayi train
Sky kehti hai avi mujhe maaf kar do mene tumhari feelings ko nhi smjha isliye mujhe boht regret ho rha tha puri raat ki meri wjah se tumne khud ko nuksan pohchaya
Ye sunke tanu avi andar hi andar khush hote hai
Tab tak sky kehti hai isliye mai tumse kehna chahti hu ki tum mujhe bilkul bhi nahi pasand ho aur na mai kbhi tumhare sath kisi relationship me rhungi friendship ka ho ya pyaar ka
Isliye dubara suicide krne ka plan ho to aise karna ki fir plan krne ki zarurat na pre
Ye kehke wo wha se jane lagti hai
Maan udhar se aa rha hota hai wo sky ko dekhta hai kafi gusse me lag rhi thi maan kehta hai kya hua sky
Wo gusse me kehti hai aaj ke baad mujhe apni sakal mat dikhana
Itna kehkar wo wha se chali jati hai
Maan andar jata hai puchta hai kya hua sky itne gusse me kyu gayi yha se tanu kehti hai pta nhi kya hua hme to lga tha plan work kar rha hai par wo to avi pe sidha chilla ke keh gayi ki ab wo uski friend bhi nhi banegi gf to dur ki baat hai aur dubara suicide krna to thik se krna
Avi gusse me kehta hai bhaad me jaaye samjhti kya hai khud ko us se jada khubsurat ladkiya hai duniya me pta nhi kis chiz ka ghamand hai
Maan gusse me kehta hai avi jubaan smbhal kr bol wo aisi nhi haii
Avi kehta hai mujhe kon si life set krni thi uski sath time pass ke liye chahiye thi
Jati hai to jaye....
Ye sunkar Maan gussa krne lagta hai kehta hai mujhe lga tu sach me sky ke liye feel krta hai par tujhe sirf time pass krna tha..
Avi kehta hai kya fark padta hai bhai ab tu mat gussa ho chal ab chale yha se
Maan wha se akele hi chla jata hai wo sky ko dhundhta hai par sky usko khi nahi dikhti
Wo sab ghar chale jate hai
Maan sochta hai subh tk to sky usko haa kehne wali thi phir kya hua jo usne aisa kha
Maan sky ko boht miss krta hai phir use yaad ata hai uske pass sky ka number hai wo use call kr deti hai sky call uthati hai puchti hai kaun wo kehta hai ki mai maan hu
Sky gusse me kehti hai
💞 Tumne kyu phone kiya hai idhar tumse kha tha na sakal mat dikhana apni dubara call mat karna mere pass
🫀Aree busss ek min meri baat to suno kya hua kis baat par gussa ho tum subah tak to thik tha sab phir kyaa huaa
💞 tumse kya matlab hai tum logo ka plan work nhi hua hai isliye gussa aa rhi hai ab phir se suicide plan kr rhe ho ek kaam krna is baar real suicide plan krna fake nhi smjhe aur ab rkho phone mujhe koi baat nhi karni
🫀 Achaa ek sec meri baat sunoo bus dekho mujhe pta hai tumhe hurt hua hai tum gusse me ho per mujhe lgaa wo tumse sach me pyaar krta hai isliye mene uska sath diya tha mujhe nhi pta tha ki wo bus timepass ki intention ke sath ye sab kar rha hai
💞 Kyaa fark prta hai jaao ab uska sath kisi aur kaam me do dusri ladkiyo ko set krane ki planning kro sab log jake
🫀Skyy sunoo to ek baar...
💞 Mujhe kuch nhi sun na aur ab dubara phone mat karna
Ye kehke skyy call cut krti hai
