Ficool

Chapter 2 - lafz Jo har bar zakham ban jate hain

đź“– Lafz Jo Har Baar Zakham Ban Jate Hain

Episode 2: Har Ilzam Mein Main Thi

> "Aaliyan mere muh par kuch aur,

Logon ke samne kuch aur kehta tha…

Aur apni Ammi ke samne… sabse alag roop."

Wo kehta tha main sirf uski hoon…

Lekin uske lafzon mein kabhi sachai thi hi nahi.

Mere paas hota tha, lekin mehsoos kabhi nahi hone diya ke main uski hoon.

Main samajhne ki koshish karti rahi —

Ke shayad waqt ke saath wo badal jaaye,

Ya meri mohabbat kuch asar kare.

Lekin ilzaam to aise lagaye…

Jaise main dosh mein hi paida hui thi.

> "Tum kahin aur interested ho, Aaniya…"

Aur main hairaan thi —

Kya Aaliyan mujhe jaanta bhi hai?

---

2 maah qabal…

Jab Aaliyan ka rishta aaya,

To ghar walon ke chehron par sukoon tha.

Wo prha likha, samajhdaar, financially stable tha.

Us ke andaaz mein itna aitmad tha ke Abu Ammi ne bina dair kiye haan kar di.

Usne kaha:

> "Main chah raha hoon ke meri zindagi mein tum ho, Aaniya…

Mujhe tumhara jaisaa koi nahi mila."

Phir usne khud apne maazi ka zikr kiya —

Ke do shaadiyan ho chuki hain,

Lekin dono aurtein us ke liye "galat faislay" thein.

> "Un mein wo baat nahi thi jo tum mein hai… tum alag ho,"

Ye keh kar usne mujhe apne yaqeen mein lapet liya.

Main ne socha:

Shayad ab koi mujhe samjhega,

Kisi ke saath zindagi ki naye safar ki shuruaat hogi.

Lekin… meri khamoshi mein bhi usne galtiyan talashi.

Mere sawaar hone se pehle hi us ne mujhe tola.

---

Shuruaat mein har rishte mein jhijak hoti hai —

Main ne bhi ki.

Lekin mohabbat karne ki koshish bhi ki…

Din raat, khud ko us ke hawale kiya.

Wo nahi samjha.

Pal jo humne sath guzare, wo haseen thay —

Lekin yaadon ka rang bhi wo mitta gaya.

Main talkh thi, lekin bewafa nahi thi.

Main chup thi, lekin jhooti nahi thi.

> Shayad mohabbat ke maayne Aaliyan ke liye kuch aur thay…

Aur mere liye kuch aur.

Us ne mujhe aitebaar mein le kar chhoda…

Aur main… intezaar karti rahi.

Minnat ki, ke ruk jaaye…

Lekin wo chala gaya.

More Chapters