Ficool

Chapter 43 - Atish-e-Dillagi

CHAPTER #43

: Woh namaaz parh kar wapis aya tha to woh abhi tak so rahi thi .

Woh Bhi aram sy usky pas hota let gaya tha .

Or kheench kar usko apne pas kar liya tha or zor sy galy laga chuka tha .

Kisi ehsas ky tehat usko dar lag ra tha . 

Ik esa shaks Jo bachpan mein kabhi ni darta tha usko dar lag ra tha . 

Han woh yeh bat qubool karta tha ky uska sab sy bara dar apne qareebi logo ka us sy dur ho jana tha . 

Bachpan mein hi usky maa baap us sy dur hue thy . Chahe uski maa abhi uske sath thin lekin woh dar jata tha . Usko dar tha ky woh Maira sy dur na ho jaye . 

Usko bura ban kar saari zindagi Maira ko qaid kr ky rakhna manzur tha lekin us sy judai mein Waleed khanzada ki sirf mout thi . 

Or jab sy Maira uski zindagi mein ai thi usko apni zindagi sy bepanah pyaar ho gaya tha .

 Maira nind mein khismai thi or Waleed ky Bhi gal par ik khubsurat sa dimple bana tha . 

" Tumhari Ik muskurahat par Waleed khud ko bhi tumhare sar sy waar dy shahzadi . Meri shahzadi ."

Waleed sirf soch saka or phir ankhein band kar ky so gaya tha .

Subah 11 bjy ky qareeb uski ankh khuli thi .

Jagne ky bad woh kafi waqt Waleed ko dekhti rhi thi jis ky bikhre bal uski ankhon ko halka halka chupa rey thy. Uski ghani balkyn boht haseen lag rahi thin . Woh belashuba ik haseen mard tha .Jis ko ik nazar dekhty hi pyaar ho jana lazmi tha . 

Maira ny halky sy usky ball ankhon sy hataye thy .

" Tum waqai boht haseen ho ."

Woh halka sa kehti uth kar fresh hone chali gai thi . 

Lekin peeche kisi ky chehre par ik gehra dimple para tha . 

Usne jaldi jaldi change kia tha or ab woh neeche chali gai thi taky neeche Ja kar anti ki koi help karwa saky . 

" Assalam u Allaikum bhabhi . Kesi hain " 

Abhi neeche hi ai thi jab usko anti or sath ik larka betha hua nazar aya . Usy yad para tha ky usne isko pehly bhi kahin dekha tha . 

Usne sir ky ishara sy muskurate hue jawab dia tha .

" Uth gai beta tum . Aa jao tumhara hi intizar kar rai thi . Waleed so ra hy kiya abhi tak .?"

Rabia ny us sy poocha tha .

" G ant..."

" Nahi mein Bhi uth gyaa tha ."

Abhi woh bolne hi wali thi ky peeche sy awaaz ai thi . Or Maira ky sharam sy gaaal laal ho chuky thy . Kiya matlb woh jaag raha tha . 

" Han aa jao beta tum bhi . MAIRA ky ghar sy Bhi abhi sab ane waly hon gy tum tyaar ho jao ."

 " G Ami behtar ."

Woh kehta upar apne kamre mein Ja chuka tha jab ky Maira ko abhi Bhi sharam aa rhi thi ky kahin woh us time jag na raha ho . 

" Mairaaa bat suno ." 

Abhi wo wohin Khari thi jab Waleed ki awaaz upar sy ai thi. 

" Jayein bhabhi ab to Bhai sahb ka koi kam apky bagher ni hoga ." 

" Han han jao beta Maira. "

Maira ka sharam sy ab to or mu lal ho chuka tha or woh jaldi sy upar gai thi .

" Ap ko kuch kam tha."

Woh jhijak kar Waleed sy pooch rahi thi . 

" Han Idher ao Maira . Tum aj yeh wala dress pehno gi ."

Waleed ny ik khubsurat sa white frock usy dia tha . Jisy dekh kar usko apna khawab yad aya lekin usne zahir nahi hony diya tha or woh dress leti changing room mein Ja chuki thi . 

Waleed bhi apne kapre le kar dusre room mein chala gaya tha .

Maira jab changing room sy bahir ai to usne shukar kia ky Waleed samne nahi tha.

Abhi dressing table ky samne khari yeh soch hi rahi thi ky sheeshe mein apne peeche uska aaqs nazar aya tha 

"Mujhy dhoond rahi thi Khaani " 

Maira jhatky sy peeche muri thi 

Abhi us ky mu sy nikla apne liye "khanam" ka lafz us sy hazm nahi hua tha ky peeche khare Waleed ko siaah shalwar kameez mein dekh kar to jese maira ka saans Bhi atak giya tha .

Kamre ki khirki sy aati halki halki meethi si dhoop or phir uski ankhon par bikhre siaah ghungrale baal or upar sy uski kameez ky upari button Bhi khule hue thy .

Maira ko to samj nahi aa rha tha ky usy ho kiya gaya hy .

"Ab itna Bhi pyara nahi hun mein biwi ky ap sans hi lena bhool jayein ."

" Isy kese pata ky mene sans roka hua hy upar sy isy apni khubsurti ka andaaza Bhi nahi hy .....Hyeeee MAIRAA HUSSAIN SHAHHH. Asal imtihaan to ab hoga Tera jab itne pyare bande ko buri nazar sy bachana pary ga ."

Maira bs yeh soch hi saki thi .

" Kidher kho jati hain ap bar bar mohtarma"

"Kahin nahi ap ready ho kar neeche aa jaiye ga "

Maira yeh kehti bhagne hi wali thi jab usko phir sy Waleed ki awaaz ai 

" Ik to pata ni biwi apko jaldi kis cheez ki hy bs jan churwati hain ap "

" nahi esi bat..."

Maira peeche muri hi thi ky apne peeche Waleed ko ik behad haseen naklace le kar khara dekh kar woh wahin freez ho gai thi .

Necklace boht khubsurat tha or nazak sa jis par boht ehtiyaat ky sath diamonds lagaye gaye thy.

" Yeh tumhare liye liya tha apni pehli kamai mein sy ."

"Par tab to ap mujhy jante nahi thy na "

Ik bar to Waleed ne dill Mein das dafa khud ko lanat bhji thi ky kia bol raha hy woh .

" Nahin Mera matlb hy ky mene socha tha ky shaadi ky bad yeh mein apni biwi ko dun ga ."

Sath sath woh usy dressing mirror ki taraf mor kar usko woh necklace pehna raha tha

" Or agar apki shaadi mere sath na hoti to phir ."

"Har haal mein tumhein hi hona tha ( Waleed par tumhare ilawa kisi ko sochna Bhi jurm Meri khaani )

Waleed ne agli bat dil mein kahi thi bas.

Maira abhi kuch kehti ky Waleed uska hath pakarta hua usy apne sath le gaya tha .

More Chapters