Ficool

Chapter 8 - 08. Into the Storm (1)

--- Break ke baad Akram ki class mein Sir. Haider ka lecture hota. Aslam pehle hi class mein betha hua tha aur apnay mobile ke saath kisi ke saath texting kar raha tha. Chand hi lamhay baad Sir. Haider class mein aajaty, apni book table par rakhty. Class ko SALAM kar hi rahay hoty ke Sir ki nazar uss new student (Aslam) par parti jou ke abhi bhi texting kar raha tha. Sir. Haider ke chehre ke taasur badal jaty aur apni tie ko thora loose karty.

Sir.Haider: (*Clear throat* Aslam ki taraf ishara karty hoye) Are you a new transfer student? Aur yun Mid-term ke duran?

Aslam: (baghair kharay hoye bethy bethy jawab deta) How many times should I repeat myself to everyone! It was a personal family issue. mtlb ke aik aik ko baari baari btaoun? (Aslam ka Sir ke saath aisa rawaiya dekh kar class ghusse mein aati magar Sir ke ehtraam ki wajah se kuchh nahi bolty)

Sir.Haider: Easy beta! Abhi naye ho iss ka matlab yeh nahi ke jou mou mein aaye bol dou! Class room ka aik discipline hota hain. At least meri class mein tameez ke daaeray mein raho. aur yeh mobile band karo.

Aslam: (mou mein bolta) psst, Damn him!!

Sir.Haider: Ok class, open your books now! Aur Zoya, chhutti ke baad mujh se office mein milna. (Sir kuchh pareshan se thy)

Bachay khairiyat se ghar pohnch jaye iss liye lecture ke baad School se chhutti ho jati Kyun ke kuchh lamhay ke liye Barish rukk gyi thi lekin asman mein badal waise hi thy balke mausam mazeed kharab ho raha tha. Sab ghar ki taraf chal partay.. Akram ghar ke liye bus par charhta aur Hamza bhi iss ke saath aa ke beth jata.

Akram: Hamza tum kidher? bike pe nahin aaye thy?

Hamza: Han aaya tou bike pe tha par mausam dekh jigar! bike pe jaanay walay haalat hai? Uper se tumhari bhi tension thi tou...

Akram: Han bas uss waqt kuchh zeyda hi pareeshan hogya tha. Ab theek hoon

Hamza: Chalo shukar hai. Aise foran pareeshan nah hua karo.. abhi kuchh din pehle theek hogye thy keep like that jigar.. Strong banna hai tum ko.

Akram: han maloom hai, phir main wohi socha tha tou chill hua tha. I have to be strong.

Hamza: Good good.. waise uss ki tenion nah lo yaqeenan uss ke pechy bhi koi wajah hogi aur uss ka jawab tumhein mil jayega

Akram: Yeah, I hope so.. dekhty hain kya hota. bas khairiyat hi ho.

Hamza: waise tumne aaj notice nahi kiya mausam kuchh zeyda hi ajeeb qisam ka hi hai aise pehle tou kabhi nahi hota tha.

Akram: Han na, main subah aaty hoye bhi yehi soch raha tha. News mein bhi yehi bta rahay thy ke mehqma-e-mausamiyat walay bhi confused thy ke aisa kyun ho raha. bas sab khair ho.... aik dam ye aik saath itna kuchh ho raha

Hamza: Chill jigar, jou bhi hoga ya jou kuchh bhi hai humein uss ke liye teyaar rehna hai.

Akram: Hmm... You are right! By the way, Zoya nahin aayi abhi tak bus mein?

Hamza: Aray wah! Humaray Ranjha ko Heer ki talash.

Akram: Yaar waise hi puchh rha hoon. Aaj class mein bhi kuchh pareshan lag rahi thi Sir. Haider ke lecture mein aur uper se mausam bhi aisa hain.

Hamza: Han yeh baat bhi hai. waise, maine usse Sir. Haider ke saath hi car mein jaaty dekha tha

Akram: Hain? Sir.Haider ke saath? kuchh lagty hai kya Zoya ke woh? Chachu yah mamo!

Hamza: Maybe. Khair choro! Aur Chachu tou main baanu ga tumharay bacho ka!

Akram: Abay yar tu phir shuru hogya. Hadd hai.

Hamza: hahahahaa-

Akram ghar pohnchta aur SALAM keh kar aander aata. Magar iss baar phir se isse SAALAM ka jawab nahin milta. Akram pareshan ho jata aur doorty hoye Maa ke kamray mein jata. Tou dekhta ke Maa shadeed Bemar hai aur soyi hoyi thi. Akram ko yaad aata ke saari raat jagti rahi thi meri wajah se aur humesha ki tarha phir se apne aap ko kasoorwar thehrata. Maa ke paas bethta aur haath pakar kar "sorry sorry" bolne lag jata aur kehta ke "sab meri glti hai main kamzoor par gya aur aap se kiye waday tour diye".. Issi duran Maa ki aankh khul jati Akram ko rotaa dekh kar aur pareshaan ho jati.

Maa: Ary.. Ary... beta... kyun roo rahay ho? kya hua? Iss mein tumhara koi kasoor nahi, bemar hona tha hogyi. Chand dinon mein theek ho jaoungi. Pareshan nah ho meray bachay. Be brave as always!

Akram: Nah maaa! I'm not a brave boy. I'm such a weakling. Aap se aik chhota sa wadda tk pura nahin kar ska.

Maa: Oh maa ki jaan. Tum se kis ny kaha ke tumne apna wadda tor diya. You are brave. Meri taaqat hi tum ho balke tum apna wadda meri umeed se behtar pura kar rahay yeh tou main ho jou aksar kamzoor par jati. Jab tk hum saath hai hum yunhi aik dusre ki taaqat banay rahaygy. Chalo ab chup karo. khud kehty mera munnah bara hogy phir yeh kya hai?

Akram: (ansu saaf karty hoye) G g Maa aap ka munnah waqai bara hogya hai. Bas kabhi kabhi yeh bara baby bhi roo parta. Sorryyy ab nahin roounga aur humesha aap ki taaqat banna rahoga.

Maa: That's my big baby.

Akram: M.... (Maa Akram ko gallay lgati) Chalein aap rest karein ab. Aur dawai time pe khani hain.

Maa ko kambal de ke Akram apne room mein chala jata. Room mein bed pe layt jata aur boht sochta ke sochty sochty yunhi ghanta guzar jata. Aik dam se be strong wala face banty hoye uthta aur apnay face pe donon haathon ko marta aur room se bahar nikal jata. Nikalty hi seedha woh neechy store-room mein chala jata aur ussi draar wali jagah ke samne aa ke kharay hojata. ----

More Chapters